nazar udas hai dil mauj-e-iztirab mein hai
nazar udaas hai dil mauj-e-iztirāb meñ hai
tire baġhair mirī zindagī azaab meñ hai
jo us ke dīda-e-badmast meñ hai ai saaqī
kahāñ vo nashsha-o-mastī tirī sharāb meñ hai
taḌap rahī hai nazar jis ko dekhne ke liye
vo apnā chehra chhupā.e hue naqāb meñ hai
basā ke pyaar kī ḳhushbū meñ jis ko bhejā thā
abhī tak aap kā vo ḳhat mirī kitāb meñ hai
maiñ husn-o-ishq kī bātoñ se kyoñ karūñ parhez
mirī hayāt abhī ālam-e-shabāb meñ hai
nigāheñ un kī mire dil pe hoñ na hoñ 'shātir'
mirī ġhazal to hasīnoñ ke intiḳhāb meñ hai
nazar udas hai dil mauj-e-iztirab mein hai
tere baghair meri zindagi azab mein hai
jo us ke dida-e-badmast mein hai ai saqi
kahan wo nashsha-o-masti teri sharab mein hai
taDap rahi hai nazar jis ko dekhne ke liye
wo apna chehra chhupae hue naqab mein hai
basa ke pyar ki KHushbu mein jis ko bheja tha
abhi tak aap ka wo KHat meri kitab mein hai
main husn-o-ishq ki baaton se kyon karun parhez
meri hayat abhi aalam-e-shabab mein hai
nigahen un ki mere dil pe hon na hon 'shatir'
meri ghazal to hasinon ke intiKHab mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.