nazar unki nazar se meri Takrai to kya hoga
nazar un kī nazar se merī Takrā.ī to kyā hogā
qayāmat jis ko kahte haiñ vo yuuñ aa.ī to kyā hogā
na aa.e hosh meñ tere jo saudā.ī to kyā hogā
agar lī fasl-e-gul ne aa ke añgḌā.ī to kyā hogā
ghaTā uTh kar nasheman ko na raas aa.ī to kyā hogā
kahīñ in badliyoñ meñ barq lahrā.ī to kyā hogā
kabhī hai dasht-paimā.ī kabhī hai chāk-dāmānī
rahī yūñhī junūñ kī kār-farmā.ī to kyā hogā
hai lāzim haal meñ ai ham-safīro fikr-e-mustaqbil
abhī to fasl-e-gul hai kal ḳhizāñ aa.ī to kyā hogā
ba-zāhir be-ġharaz sajde ba-bātin ḳhvāhish-e-jannat
paḌī palle jo is saude meñ rusvā.ī to kyā hogā
tumhāre va.ada-e-fardā pe maiñ huuñ mutma.in lekin
kahīñ phir lan-tarānī kī sadā aa.ī to kyā hogā
thakā haarā musāfir dūr-e-manzil aur din thoḌā
agar ġhurbat meñ hogī shām-e-tanhā.ī to kyā hogā
sunā to duuñ unheñ rūdād-e-ġham apnī 'riyāzī' maiñ
ḳhudā-nā-ḳhvāsta aañkh un kī bhar aa.ī to kyā hogā
nazar un ki nazar se meri Takrai to kya hoga
qayamat jis ko kahte hain wo yun aai to kya hoga
na aae hosh mein tere jo saudai to kya hoga
agar li fasl-e-gul ne aa ke angDai to kya hoga
ghaTa uTh kar nasheman ko na ras aai to kya hoga
kahin in badliyon mein barq lahrai to kya hoga
kabhi hai dasht-paimai kabhi hai chaak-damani
rahi yunhi junun ki kar-farmai to kya hoga
hai lazim haal mein ai ham-safiro fikr-e-mustaqbil
abhi to fasl-e-gul hai kal KHizan aai to kya hoga
ba-zahir be-gharaz sajde ba-baatin KHwahish-e-jannat
paDi palle jo is saude mein ruswai to kya hoga
tumhaare wada-e-farda pe main hun mutmain lekin
kahin phir lan-tarani ki sada aai to kya hoga
thaka haara musafir dur-e-manzil aur din thoDa
agar ghurbat mein hogi sham-e-tanhai to kya hoga
suna to dun unhen rudad-e-gham apni 'riyazi' main
KHuda-na-KHwasta aankh un ki bhar aai to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.