nazar uThti hai to hangam-e-mahshar yaad aata hai
nazar uThti hai to hangam-e-mahshar yaad aata hai
Syed Zafar Kashipurii
MORE BYSyed Zafar Kashipurii
nazar uThtī hai to hangām-e-mahshar yaad aatā hai
fasīloñ par abābīloñ kā lashkar yaad aatā hai
guzārī zindagī jis ne khajūroñ kī chatā.ī par
vo bosīda rasūlullah kā bistar yaad aatā hai
jo saf-ārā rahe barsoñ arab ke kohsāroñ par
un as.hāb-e-safā kā mujh ko lashkar yaad aatā hai
nasab sarkār ne jis ko kiyā ḳhud apne hāthoñ se
vaqār-e-azmat-e-ka.aba vo patthar yaad aatā hai
vo jaltī dhuup sahrā vo piyāsoñ kī ḳhunuk-tābī
taḌap jaatā huuñ jab karbal kā manzar yaad aatā hai
zabīhullāh ke hulqūm par jo kund ho jaa.e
ḳhalīlullāh kā mujh ko vo ḳhanjar yaad aatā hai
zamāne ko diyā jis ne shu.ūr-e-zindagī yaaro
mujhe rāh-e-vafā meñ ab vo rahbar yaad aatā hai
bhulā dī haiñ 'zafar' aslāf kī qadreñ sabhī ham ne
isī baa.is to ab maidān-e-mahshar yaad aatā hai
nazar uThti hai to hangam-e-mahshar yaad aata hai
fasilon par ababilon ka lashkar yaad aata hai
guzari zindagi jis ne khajuron ki chatai par
wo bosida rasulullah ka bistar yaad aata hai
jo saf-ara rahe barson arab ke kohsaron par
un ashab-e-safa ka mujh ko lashkar yaad aata hai
nasab sarkar ne jis ko kiya KHud apne hathon se
waqar-e-azmat-e-kaba wo patthar yaad aata hai
wo jalti dhup sahra wo piyason ki KHunuk-tabi
taDap jata hun jab karbal ka manzar yaad aata hai
zabihullah ke hulqum par jo kund ho jae
KHalilullah ka mujh ko wo KHanjar yaad aata hai
zamane ko diya jis ne shuur-e-zindagi yaro
mujhe rah-e-wafa mein ab wo rahbar yaad aata hai
bhula di hain 'zafar' aslaf ki qadren sabhi hum ne
isi bais to ab maidan-e-mahshar yaad aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.