nazar wahi hai jo ruKHsar ke chaman mein rahe
nazar vahī hai jo ruḳhsār ke chaman meñ rahe
jabīn-o-kākul-e-barham kī har shikan meñ rahe
tujhe bhī yaad hai kuchh ai jamāl-e-mahbūbī
nigāh ban ke bhī ham tere pairahan meñ rahe
niyāz-e-ishq ko itnā bhī rabt kyā kam hai
ki apnā zikr-e-mohabbat us anjuman meñ rahe
ye qaid-e-ġham kā zamāna bhī kaaT hī leñge
hamārā husn-e-nazar tere pairahan meñ rahe
hamāre paas kahāñ aisī zindagī sayyād
ki zer-e-dām rahe halqa-e-rasan meñ rahe
ghulī ghulī lab-o-āriz meñ kaifiyāt-e-bahār
sharāb ban ke lahū bhī tire badan meñ rahe
tabāhiyoñ ko bhī ik raah mil ga.ī 'saifī'
vo apne zo'm meñ ham apne bāñkpan meñ rahe
nazar wahi hai jo ruKHsar ke chaman mein rahe
jabin-o-kakul-e-barham ki har shikan mein rahe
tujhe bhi yaad hai kuchh ai jamal-e-mahbubi
nigah ban ke bhi hum tere pairahan mein rahe
niyaz-e-ishq ko itna bhi rabt kya kam hai
ki apna zikr-e-mohabbat us anjuman mein rahe
ye qaid-e-gham ka zamana bhi kaT hi lenge
hamara husn-e-nazar tere pairahan mein rahe
hamare pas kahan aisi zindagi sayyaad
ki zer-e-dam rahe halqa-e-rasan mein rahe
ghuli ghuli lab-o-ariz mein kaifiyat-e-bahaar
sharab ban ke lahu bhi tere badan mein rahe
tabahiyon ko bhi ek rah mil gai 'saifi'
wo apne zo'm mein hum apne bankpan mein rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.