nazir jis ki mil sake wo apna majra na tha
nazīr jis kī mil sake vo apnā mājrā na thā
likhā na thā paḌhā na thā sunā na thā huā na thā
zamāne meñ jo hādisa mire liye nayā na thā
kisī ne bhī sunā na thā kahīñ bhī vo huā na thā
jo us galī meñ rah ga.e ḳhushī ko apnī daḳhl kyā
qasam kisī kī nāsehā qadam hī uTh sakā na thā
ġhazab meñ jaan paḌ ga.ī na pūchh rāhat-e-adam
kisī ko kuchh ġharaz na thī kisī se mudda.ā na thā
jo daftar-e-zamāna par nigāh apnī paḌ ga.ī
javāb hī na jis kā ho vo koī mājrā na thā
ḳhayāl-e-ārzū hī thā ki yaas ne ye dī ḳhabar
vo ka.aba terā Dheh gayā abhī jo ban chukā na thā
nazir jis ki mil sake wo apna majra na tha
likha na tha paDha na tha suna na tha hua na tha
zamane mein jo hadisa mere liye naya na tha
kisi ne bhi suna na tha kahin bhi wo hua na tha
jo us gali mein rah gae KHushi ko apni daKHl kya
qasam kisi ki naseha qadam hi uTh saka na tha
ghazab mein jaan paD gai na puchh rahat-e-adam
kisi ko kuchh gharaz na thi kisi se muddaa na tha
jo daftar-e-zamana par nigah apni paD gai
jawab hi na jis ka ho wo koi majra na tha
KHayal-e-arzu hi tha ki yas ne ye di KHabar
wo kaba tera Dheh gaya abhi jo ban chuka na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.