nazm bhi git bhi naghma bhi ghazal bhi tu hai
nazm bhī giit bhī naġhma bhī ġhazal bhī tū hai
merī sochoñ kā hasīñ tāj-mahal bhī tū hai
merī bedārī-e-ehsās kā zāmin bhī tū
mere pākīza tasavvur kā badal bhī tū hai
tujh se mansūb haiñ ḳhushiyāñ bhī alam bhī ya.anī
merī kamzorī bhī tū hai mirā bal bhī tū hai
tū hī uljhan kā sabab hai mire haq meñ lekin
merī pechīdgī-e-zīst kā hal bhī tū hai
merī tahzīb kā ā.īna-e-be-dāġh bhī tū
merā kirdār mirā husn-e-amal bhī tū hai
tere hī dam se hai raushan mirī duniyā jānāñ
merā sūraj bhī mirā chāñd kañval bhī tū hai
sirf rāqim ke sivā kuchh bhī nahīñ terā ‘ḳhatīb’
tū ġhazal bhī sabab-e-husn-e-ġhazal bhī tū hai
nazm bhi git bhi naghma bhi ghazal bhi tu hai
meri sochon ka hasin taj-mahal bhi tu hai
meri bedari-e-ehsas ka zamin bhi tu
mere pakiza tasawwur ka badal bhi tu hai
tujh se mansub hain KHushiyan bhi alam bhi yani
meri kamzori bhi tu hai mera bal bhi tu hai
tu hi uljhan ka sabab hai mere haq mein lekin
meri pechidgi-e-zist ka hal bhi tu hai
meri tahzib ka aaina-e-be-dagh bhi tu
mera kirdar mera husn-e-amal bhi tu hai
tere hi dam se hai raushan meri duniya jaanan
mera suraj bhi mera chand kanwal bhi tu hai
sirf raqim ke siwa kuchh bhi nahin tera ‘KHatib’
tu ghazal bhi sabab-e-husn-e-ghazal bhi tu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.