nazm KHabron ko kiya aur na latife likkhe
nazm ḳhabroñ ko kiyā aur na latīfe likkhe
maiñ ne ash.ār meñ jiine ke salīqe likkhe
martabe ahl-e-suḳhan ke tumheñ tai karne haiñ
kis ne haq baat kahī kis ne qasīde likkhe
sab ko tadbīr bhī karne ko vahī kahtā hai
aur haiñ sab ke muqaddar bhī usī ke likkhe
shiddat-e-mehr se dī us ke ġhazab ko tashbīh
us kī rahmat ko agar fazl ke saa.e likkhe
kuchh zarūr un meñ nasīhat thī magar yaad nahīñ
jo paḌhe the vo buzurgoñ ke maqūle likkhe
zindagī tujh pe likhūñgā na ziyāda ab kuchh
jo bhī mazmūn tirī mad.h meñ likkhe likkhe
likhtā rahtā hai vahī harf-e-ta.alluq 'aḳhtar'
us se kah do ki ab is baat se aage likkhe
nazm KHabron ko kiya aur na latife likkhe
main ne ashaar mein jine ke saliqe likkhe
martabe ahl-e-suKHan ke tumhein tai karne hain
kis ne haq baat kahi kis ne qaside likkhe
sab ko tadbir bhi karne ko wahi kahta hai
aur hain sab ke muqaddar bhi usi ke likkhe
shiddat-e-mehr se di us ke ghazab ko tashbih
us ki rahmat ko agar fazl ke sae likkhe
kuchh zarur un mein nasihat thi magar yaad nahin
jo paDhe the wo buzurgon ke maqule likkhe
zindagi tujh pe likhunga na ziyaada ab kuchh
jo bhi mazmun teri madh mein likkhe likkhe
likhta rahta hai wahi harf-e-talluq 'aKHtar'
us se kah do ki ab is baat se aage likkhe
- Book : gaurav (Pg. 145)
- Author : akku
- Publication : mishra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.