nazm likhne ko istiare bahut
nazm likhne ko isti.āre bahut
haiñ samajhdār ko ishāre bahut
gahre paanī meñ ḳhud-kushī kaisī
Dūbne ko yahāñ kināre bahut
phuul jugnū sabā dhanak titlī
aa.ine paar the nazāre bahut
Thahriye aap chal diye haiñ kahāñ
haiñ savāl aur bhī hamāre bahut
haar jaa.e na khel khel meñ chāñd
vo akelā hai aur sitāre bahut
koī suntā na thā pas-e-dīvār
jab ki us paar sab pukāre bahut
kaun jiitā balā se kyā mā'lūm
ham to khele binā bhī haare bahut
kaise kah duuñ ki dil kī bātoñ meñ
fā.ede kam rahe ḳhasāre bahut
zinda dargor ho ga.e ḳhud meñ
ham the sachchā.iyoñ ke maare bahut
nazm likhne ko istiare bahut
hain samajhdar ko ishaare bahut
gahre pani mein KHud-kushi kaisi
Dubne ko yahan kinare bahut
phul jugnu saba dhanak titli
aaine par the nazare bahut
Thahriye aap chal diye hain kahan
hain sawal aur bhi hamare bahut
haar jae na khel khel mein chand
wo akela hai aur sitare bahut
koi sunta na tha pas-e-diwar
jab ki us par sab pukare bahut
kaun jita bala se kya ma'lum
hum to khele bina bhi haare bahut
kaise kah dun ki dil ki baaton mein
faede kam rahe KHasare bahut
zinda dargor ho gae KHud mein
hum the sachchaiyon ke mare bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.