nazr-e-qatil ho gai sari ki sari zindagi
nazr-e-qātil ho ga.ī saarī kī saarī zindagī
is liye roz-e-azal se thī hamārī zindagī
vasl nā-mumkin huā uThtā nahīñ hai hijr-e-yār
ho ga.ī hai in dinoñ be-iḳhtiyārī zindagī
ho gayā hai sard ab bāzār-e-saudā-e-junūñ
mil ga.ī qismat ko ik ġhaflat-shi.ārī zindagī
ik gul-e-ḳhūbī kī ulfat ne dikhāyā ye asar
dāġh-e-dil se ban ga.ī phūloñ kī kyārī zindagī
ai 'sharārat' abru-e-jānāñ kī ulfat hai hameñ
kaTtī hai teġh-e-do-dam par ab hamārī zindagī
nazr-e-qatil ho gai sari ki sari zindagi
is liye roz-e-azal se thi hamari zindagi
wasl na-mumkin hua uThta nahin hai hijr-e-yar
ho gai hai in dinon be-iKHtiyari zindagi
ho gaya hai sard ab bazar-e-sauda-e-junun
mil gai qismat ko ek ghaflat-shiari zindagi
ek gul-e-KHubi ki ulfat ne dikhaya ye asar
dagh-e-dil se ban gai phulon ki kyari zindagi
ai 'shararat' abru-e-jaanan ki ulfat hai hamein
kaTti hai tegh-e-do-dam par ab hamari zindagi
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 107)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.