nazren milin na apni kabhi guftugu hui
nazreñ milīñ na apnī kabhī guftugū huī
kahne ko roz duniyā mire rū-ba-rū huī
yuuñ hī nahīñ banā hai tasavvur meñ terā aks
barsoñ tujhe tarāshā hai tab jā ke tū huī
pahle pahal to chalte rahe be-niyāz ham
thakne lage to manziloñ kī justujū huī
ik din daraḳht-e-dil ko mere chhū gayā koī
barsoñ ke ba.ad shāḳh-e-tamannā numū huī
pahlī dafa hue haiñ in āñkhoñ se ham-kalām
itne adab se pahle kahāñ guftugū huī
sochā to ham ne tujh ko ka.ī baar thā magar
ik umr ba.ad ham ko tirī aarzū huī
nazren milin na apni kabhi guftugu hui
kahne ko roz duniya mere ru-ba-ru hui
yun hi nahin bana hai tasawwur mein tera aks
barson tujhe tarasha hai tab ja ke tu hui
pahle pahal to chalte rahe be-niyaz hum
thakne lage to manzilon ki justuju hui
ek din daraKHt-e-dil ko mere chhu gaya koi
barson ke baad shaKH-e-tamanna numu hui
pahli dafa hue hain in aankhon se ham-kalam
itne adab se pahle kahan guftugu hui
socha to hum ne tujh ko kai bar tha magar
ek umr baad hum ko teri aarzu hui
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 37)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.