nazron mein ab tasawwur-e-jaanan hai aur hum
nazron mein ab tasawwur-e-jaanan hai aur hum
Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi
nazroñ meñ ab tasavvur-e-jānāñ hai aur ham
un kī tajalliyāt kā 'irfāñ hai aur ham
ab iltifāt-e-gardish-e-daurāñ hai aur ham
yā'nī qarīb-e-manzil-e-jānāñ hai aur ham
ai dost tere dard-e-mohabbat ke ham nisār
har lamha ek sozish-e-pinhāñ hai aur ham
biite hue dinoñ kī faqat yaad rah ga.ī
mahfūz dil meñ sham’-e-farozāñ hai aur ham
hamdam na pūchh dil kī tū betābiyoñ kā haal
pahlū meñ ek sho'la-e-larzāñ hai aur ham
nazron mein ab tasawwur-e-jaanan hai aur hum
un ki tajalliyat ka 'irfan hai aur hum
ab iltifat-e-gardish-e-dauran hai aur hum
ya'ni qarib-e-manzil-e-jaanan hai aur hum
ai dost tere dard-e-mohabbat ke hum nisar
har lamha ek sozish-e-pinhan hai aur hum
bite hue dinon ki faqat yaad rah gai
mahfuz dil mein sham’-e-farozan hai aur hum
hamdam na puchh dil ki tu betabiyon ka haal
pahlu mein ek sho'la-e-larzan hai aur hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.