nazron se basirat ki nihan kuchh bhi nahin hai
nazroñ se basīrat kī nihāñ kuchh bhī nahīñ hai
sab kuchh hai jahāñ aur jahāñ kuchh bhī nahīñ hai
ham miT ga.e is fitrat-e-āshufta kī ḳhātir
hālāñki vo ġhārat-gar-e-jāñ kuchh bhī nahīñ hai
dil kī jo na kahiye to zabāñ kāshif-e-asrār
aur dil kī jo kahiye to zabāñ kuchh bhī nahīñ hai
dil vāloñ ko dil vāloñ se hai harf-o-hikāyat
zāhir meñ mohabbat kā nishāñ kuchh bhī nahīñ hai
rañgīn-o-nazar soz-o-manāzir se guzar kar
pahuñchā huuñ vahāñ maiñ ki jahāñ kuchh bhī nahīñ hai
ye ishq kī zāhir ho to hil jaa.eñ do-ālam
juz chand ishārāt nihāñ kuchh bhī nahīñ hai
mujh ḳhūgar-e-begānī-e-dost ko 'ālī'
be-gāñgī-e-ahl-e-jahāñ kuchh bhī nahīñ hai
nazron se basirat ki nihan kuchh bhi nahin hai
sab kuchh hai jahan aur jahan kuchh bhi nahin hai
hum miT gae is fitrat-e-ashufta ki KHatir
haalanki wo ghaarat-gar-e-jaan kuchh bhi nahin hai
dil ki jo na kahiye to zaban kashif-e-asrar
aur dil ki jo kahiye to zaban kuchh bhi nahin hai
dil walon ko dil walon se hai harf-o-hikayat
zahir mein mohabbat ka nishan kuchh bhi nahin hai
rangin-o-nazar soz-o-manazir se guzar kar
pahuncha hun wahan main ki jahan kuchh bhi nahin hai
ye ishq ki zahir ho to hil jaen do-alam
juz chand ishaaraat nihan kuchh bhi nahin hai
mujh KHugar-e-begani-e-dost ko 'ali'
be-gangi-e-ahl-e-jahan kuchh bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.