nazron se gir gaya to uThaya nahin gaya
nazroñ se gir gayā to uThāyā nahīñ gayā
mujh se vo rūThā shaḳhs manāyā nahīñ gayā
ashkoñ ko jis ne aañkh kā zevar banā diyā
āñkhoñ kī chilmanoñ se haTāyā nahīñ gayā
TuuTā jo ek baar to hasrat huī tamām
mujh se dubāra dil bhī lagāyā nahīñ gayā
mujh ko miTāne vaale ne sab kuchh miTā diyā
mujh se to us kā naam bhulāyā nahīñ gayā
apnoñ ne merī soch ko dīmak-zada kiyā
ḳhushiyoñ bharā jo ghar thā basāyā nahīñ gayā
us ne mujhe girāne kā jab 'ahd kar liyā
haarā vo shaḳhs mujh se harāyā nahīñ gayā
nazron se gir gaya to uThaya nahin gaya
mujh se wo ruTha shaKHs manaya nahin gaya
ashkon ko jis ne aankh ka zewar bana diya
aankhon ki chilmanon se haTaya nahin gaya
TuTa jo ek bar to hasrat hui tamam
mujh se dubara dil bhi lagaya nahin gaya
mujh ko miTane wale ne sab kuchh miTa diya
mujh se to us ka nam bhulaya nahin gaya
apnon ne meri soch ko dimak-zada kiya
KHushiyon bhara jo ghar tha basaya nahin gaya
us ne mujhe girane ka jab 'ahd kar liya
haara wo shaKHs mujh se haraya nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.