nazron se kisi ko bhi giraate nahin jaanan
nazroñ se kisī ko bhī girāte nahīñ jānāñ
har baat raqīboñ ko batāte nahīñ jānāñ
rahte haiñ vo murjhā.e hue mausam-e-gul meñ
jo log kabhī hañste hañsāte nahīñ jānāñ
har pal tirī āñkheñ tirī ḳhushbū hai mire saath
ye baat magar sab ko batāte nahīñ jānāñ
aT saktā hai terā bhī isī dhuul se chehra
rusvā.ī kī yuuñ gard uḌāte nahīñ jānāñ
dil-gīr to hote haiñ taġhāful se tire ham
lekin kabhī ehsān jatāte nahīñ jānāñ
ye hazrat-e-'jāzib' jo giraftār-e-vafā haiñ
āshiq haiñ magar shor machāte nahīñ jānāñ
nazron se kisi ko bhi giraate nahin jaanan
har baat raqibon ko batate nahin jaanan
rahte hain wo murjhae hue mausam-e-gul mein
jo log kabhi hanste hansate nahin jaanan
har pal teri aankhen teri KHushbu hai mere sath
ye baat magar sab ko batate nahin jaanan
aT sakta hai tera bhi isi dhul se chehra
ruswai ki yun gard uDate nahin jaanan
dil-gir to hote hain taghaful se tere hum
lekin kabhi ehsan jatate nahin jaanan
ye hazrat-e-'jazib' jo giraftar-e-wafa hain
aashiq hain magar shor machate nahin jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.