nazzara ajab uske gareban ki taraf tha
nazzāra ajab us ke garebāñ kī taraf thā
har aañkh kā ruḳh sīna-e-uryāñ kī taraf thā
maiñ dekh rahā thā kahīñ jaltī huī sham.eñ
aur dhyān mirā dūd-e-pareshāñ kī taraf thā
maiñ leTā rahā ghaas pe saa.e meñ baḌī der
aage kā safar saarā bayābāñ kī taraf thā
do rāste the ek jagah rāz-e-jahāñ meñ
ik ghar kī taraf dūsrā zindāñ kī taraf thā
kuchh paḌ sā gayā dīda-e-mushtāq meñ us vaqt
jab garm-e-tamāshā kisī maidāñ kī taraf thā
taare ki utar aa.e the ik dasht-e-balā meñ
mahtāb kisī qarya-e-vīrāñ kī taraf thā
baiThā thā kahīñ husn-e-numā.ish-gah-e-ġham meñ
ruj.hān zarā shohrat-e-arzāñ kī taraf thā
ye kaise huā kyuuñ maiñ nikal aayā sar-e-rāh
jaanā to mujhe kūcha-e-jānāñ kī taraf thā
mahfil meñ vo kartā rahā ik chor se hushiyār
aur us kā ishāra mire mehmāñ kī taraf thā
āsār the āñdhī meñ baḌī chup sī fazā meñ
ruḳh vaqt ke dhāre kā bhī tūfāñ kī taraf thā
vo qāfila-e-gul ke guzar jaane kī ḳhabar thī
uḌtā huā jo rañg gulistāñ kī taraf thā
ik haath thā duniyā kā mirī jeb pe 'shāhīñ'
jo dūsrā thā mere garebāñ kī taraf thā
nazzara ajab us ke gareban ki taraf tha
har aankh ka ruKH sina-e-uryan ki taraf tha
main dekh raha tha kahin jalti hui shamen
aur dhyan mera dud-e-pareshan ki taraf tha
main leTa raha ghas pe sae mein baDi der
aage ka safar sara bayaban ki taraf tha
do raste the ek jagah raaz-e-jahan mein
ek ghar ki taraf dusra zindan ki taraf tha
kuchh paD sa gaya dida-e-mushtaq mein us waqt
jab garm-e-tamasha kisi maidan ki taraf tha
tare ki utar aae the ek dasht-e-bala mein
mahtab kisi qarya-e-viran ki taraf tha
baiTha tha kahin husn-e-numaish-gah-e-gham mein
rujhan zara shohrat-e-arzan ki taraf tha
ye kaise hua kyun main nikal aaya sar-e-rah
jaana to mujhe kucha-e-jaanan ki taraf tha
mahfil mein wo karta raha ek chor se hushiyar
aur us ka ishaara mere mehman ki taraf tha
aasar the aandhi mein baDi chup si faza mein
ruKH waqt ke dhaare ka bhi tufan ki taraf tha
wo qafila-e-gul ke guzar jaane ki KHabar thi
uDta hua jo rang gulistan ki taraf tha
ek hath tha duniya ka meri jeb pe 'shahin'
jo dusra tha mere gareban ki taraf tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.