Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazara-e-ruKH-e-saqi se mujhko masti hai

Goya Faqir Mohammad

nazara-e-ruKH-e-saqi se mujhko masti hai

Goya Faqir Mohammad

MORE BYGoya Faqir Mohammad

    nazāra-e-ruḳh-e-sāqī se mujh ko mastī hai

    ye āftāb parastī bhī mai-parastī hai

    ḳhudā ko bhuul gayā mahv-e-ḳhud-parastī hai

    aur kaam meñ hai maut tujh pe hastī hai

    na gul haiñ ab na vo saaqī na mai-parastī hai

    chaman meñ meñh ke 'evaz be-kasī barastī hai

    ye mulk-e-husn bhī jānāñ 'ajīb bastī hai

    ki dil chiiz yahāñ kauḌiyoñ se sastī hai

    mah-e-siyām meñ go man.a-e-mai-parastī hai

    magar huuñ mast ki har roz fāqa-mastī hai

    ye be-sabāt bahār-e-riyāz-e-hastī hai

    kalī jo chaTkī to hastī par apnī hañstī hai

    bas ek raat mehmān charāġh-e-hastī hai

    sirhāne ro.egī ab sham' gor hañstī hai

    dilā ye gor-e-ġharībāñ bhī zor bastī hai

    bajā.e abr yahāñ be-kasī barastī hai

    gayā jo yaañ se tah-e-ḳhāk vo kabhī na phirā

    zamīn ke nīche bhī dilchasp koī bastī hai

    nahā ke baal nichoḌe to yaar kahne lagā

    ghaTā siyāh isī tarah se barastī hai

    bas ek haath meñ do TukḌe kar diyā ham ko

    hamāre yaar ik ye bhī tez-dastī hai

    kiyā hai chaak garebān sub.h-e-mahshar tak

    ye apne josh-e-junūñ darāz-dastī hai

    hameñ to qatl kiyā bas isī nazākat ne

    ki vo uThātī haiñ teġh aur nahīñ ukastī hai

    dikhā ke phuul se chehre ko dil liyā ḳhush ho

    jo badle gul ke mile 'andalīb sastī hai

    ab ek tauba pe aatī hai maġhfirat tire haath

    ḳharīd kar ki nihāyat ye jins sastī hai

    dikhā.e jis ne ye sūrat hameñ dam-e-āḳhir

    usī ko dekhne ko ruuh ab tarastī hai

    na TuuTī shīsha-e-mai merī sañg-e-marqad se

    pas az fanā bhī mujhe pās-e-mai-parastī hai

    asiir kar ke hameñ ḳhush na hoiyo sayyād

    ki bhī yaañ to giraftār-e-dām-e-hastī hai

    'ajab nahīñ dam-e-īsā se bhī jo gul ho jaate

    ki sham-e-sub.h hamārā charāġh-e-hastī hai

    vo māñgtā hai mirī jaan rū-numā.ī meñ

    yahī jo mol hai to jins-e-husn sastī hai

    kiyā hai us ne to yūsuf chaak dāman-e-pāk

    na pūchho 'ishq jo kuchh darāz-dastī hai

    kahūñ maiñ vahī hai saaqī vahī subū vahī jaam

    mudām-e-bāda-e-vahdat mujh ko mastī hai

    'alam hai teġh-e-do-dam taire sar jhukā.e huuñ maiñ

    tirī galī meñ bhī zālim bulandī pastī hai

    jo chāhe rahmat-e-haq 'ijz kar shi'ār apnā

    ravāñ udhar ko hai paanī jidhar ko pastī hai

    safed ho ga.ī mū-e-siyāh ġhaflat chhoḌ

    huī hai sub.h koī dam charāġh hastī hai

    har ik javān qad ḳham huā hai piirī se

    ma.āl-e-kār bulandī jahāñ meñ pastī hai

    vo apnī jumbish-e-abrū dikhā ke kahtā hai

    ye vo hai teġh ishāroñ se jo kastī hai

    che ḳhush bavad ki bar aayad bek karishma do kaar

    sanam baġhal meñ hai dil mahv-e-haq-parastī hai

    hai ḳhuub pahle se 'goyā' karūñ maiñ tark-e-suḳhan

    ki ek dam meñ ye ḳhāmosh sham-e-hastī hai

    nazara-e-ruKH-e-saqi se mujh ko masti hai

    ye aaftab parasti bhi mai-parasti hai

    KHuda ko bhul gaya mahw-e-KHud-parasti hai

    tu aur kaam mein hai maut tujh pe hasti hai

    na gul hain ab na wo saqi na mai-parasti hai

    chaman mein meinh ke 'ewaz be-kasi barasti hai

    ye mulk-e-husn bhi jaanan 'ajib basti hai

    ki dil si chiz yahan kauDiyon se sasti hai

    mah-e-siyam mein go mana-e-mai-parasti hai

    magar hun mast ki har roz faqa-masti hai

    ye be-sabaat bahaar-e-riyaz-e-hasti hai

    kali jo chaTki to hasti par apni hansti hai

    bas ek raat ka mehman charagh-e-hasti hai

    sirhane roegi ab sham' gor hansti hai

    dila ye gor-e-ghariban bhi zor basti hai

    bajae abr yahan be-kasi barasti hai

    gaya jo yan se tah-e-KHak wo kabhi na phira

    zamin ke niche bhi dilchasp koi basti hai

    naha ke baal nichoDe to yar kahne laga

    ghaTa siyah isi tarah se barasti hai

    bas ek hath mein do TukDe kar diya hum ko

    hamare yar ki ek ye bhi tez-dasti hai

    kiya hai chaak gareban subh-e-mahshar tak

    ye apne josh-e-junun ki daraaz-dasti hai

    hamein to qatl kiya bas isi nazakat ne

    ki wo uThati hain tegh aur nahin ukasti hai

    dikha ke phul se chehre ko dil liya KHush ho

    jo badle gul ke mile 'andalib sasti hai

    ab ek tauba pe aati hai maghfirat tere hath

    KHarid kar ki nihayat ye jins sasti hai

    dikhae jis ne ye surat hamein dam-e-aKHir

    usi ko dekhne ko ruh ab tarasti hai

    na TuTi shisha-e-mai meri sang-e-marqad se

    pas az fana bhi mujhe pas-e-mai-parasti hai

    asir kar ke hamein KHush na hoiyo sayyaad

    ki tu bhi yan to giraftar-e-dam-e-hasti hai

    'ajab nahin dam-e-isa se bhi jo gul ho jate

    ki sham-e-subh hamara charagh-e-hasti hai

    wo mangta hai meri jaan ru-numai mein

    yahi jo mol hai to jins-e-husn sasti hai

    kiya hai us ne to yusuf ka chaak daman-e-pak

    na puchho 'ishq ki jo kuchh daraaz-dasti hai

    kahun main wahi hai saqi wahi subu wahi jam

    mudam-e-baada-e-wahdat ki mujh ko masti hai

    'alam hai tegh-e-do-dam taire sar jhukae hun main

    teri gali mein bhi zalim bulandi pasti hai

    jo chahe rahmat-e-haq 'ijz kar shi'ar apna

    rawan udhar ko hai pani jidhar ko pasti hai

    safed ho gai mu-e-siyah ghaflat chhoD

    hui hai subh koi dam charagh hasti hai

    har ek jawan ka qad KHam hua hai piri se

    maal-e-kar bulandi jahan mein pasti hai

    wo apni jumbish-e-abru dikha ke kahta hai

    ye wo hai tegh ishaaron hi se jo kasti hai

    che KHush bawad ki bar aayad bek karishma do kar

    sanam baghal mein hai dil mahw-e-haq-parasti hai

    hai KHub pahle se 'goya' karun main tark-e-suKHan

    ki ek dam mein ye KHamosh sham-e-hasti hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    nazara-e-ruKH-e-saqi se mujhko masti hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now