nazzargi ko rasta hamwar chahiye
nazzārgī ko rāsta hamvār chāhiye
muusā ko phir se tuur pe dīdār chāhiye
ik raushnī hai jis kī chakā-chauñd ke liye
āñkhoñ ko terī oT kī dīvār chāhiye
in ashk-bār āñkhoñ ke TuuTe hue haiñ ḳhvāb
tā'mīr ke liye inheñ me'mār chāhiye
bātil kī zad pe aa gayā hai phir koī husain
ḳhutba koī to barsar-e-darbār chāhiye
nazzargi ko rasta hamwar chahiye
musa ko phir se tur pe didar chahiye
ek raushni hai jis ki chaka-chaund ke liye
aankhon ko teri oT ki diwar chahiye
in ashk-bar aankhon ke TuTe hue hain KHwab
ta'mir ke liye inhen me'mar chahiye
baatil ki zad pe aa gaya hai phir koi husain
KHutba koi to barsar-e-darbar chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.