ne jam raha na to mai-KHana na hi shor kahin paimanon ka
ne jaam rahā na to mai-ḳhāna na hī shor kahīñ paimānoñ kā
saaqī kā kahīñ par naam rahā aur naam kahīñ mastānoñ kā
ai sham.a ise kyā samjheñ ham hañstī bhī hai tū rotī bhī hai tū
hai bā.is-e-ġham yā vaj.h-e-ḳhushī jal mar miTnā parvānoñ kā
hamdard jinheñ dil samjhā thā mat pūchhiye un se kyā paayā
dukh-dard kā maskan dil hai banā maḳhzan thā kabhī armānoñ kā
haq baat burī lagtī ho jahāñ har aib hunar ban jaa.e jahāñ
aise meñ mile insāf kahāñ kyā kaam yahāñ mīzānoñ kā
kyā dost agar hoñ dushman bhī aa jaa.eñ tire dar par jo kabhī
āñkheñ tū bichhā.e jā 'najmī' dil rakh lenā mehmānoñ kā
ne jam raha na to mai-KHana na hi shor kahin paimanon ka
saqi ka kahin par nam raha aur nam kahin mastanon ka
ai shama ise kya samjhen hum hansti bhi hai tu roti bhi hai tu
hai bais-e-gham ya wajh-e-KHushi jal mar miTna parwanon ka
hamdard jinhen dil samjha tha mat puchhiye un se kya paya
dukh-dard ka maskan dil hai bana maKHzan tha kabhi armanon ka
haq baat buri lagti ho jahan har aib hunar ban jae jahan
aise mein mile insaf kahan kya kaam yahan mizanon ka
kya dost agar hon dushman bhi aa jaen tere dar par jo kabhi
aankhen tu bichhae ja 'najmi' dil rakh lena mehmanon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.