nek aamal ki targhib amal deta hai
nek a.amāl kī tarġhīb amal detā hai
ilm insān kī taqdīr badal detā hai
sab ko mehnat kā sila aur vo phal detā hai
ya.anī ḳhvāboñ ko haqīqat meñ badal detā hai
paas hai aql tumhāre to ye pahle socho
tum shajar aisā lagānā ki jo phal detā hai
sun ke tahrīk mile jis se zamāne bhar ko
tajraba mujh ko mirā aisī ġhazal detā hai
apnā sar us kī ibādat meñ jhukānā kaafī
rāhateñ donoñ jahāñ meñ ye amal detā hai
hausla jis kā javāñ hotā hai Tiipū kī tarah
zulm ke saañp kā sar baḌh ke kuchal detā hai
likhā qismat kā bhī vo maañ kī duā se 'sānī'
sach hai ye baat ki allāh badal detā hai
nek aamal ki targhib amal deta hai
ilm insan ki taqdir badal deta hai
sab ko mehnat ka sila aur wo phal deta hai
yani KHwabon ko haqiqat mein badal deta hai
pas hai aql tumhaare to ye pahle socho
tum shajar aisa lagana ki jo phal deta hai
sun ke tahrik mile jis se zamane bhar ko
tajraba mujh ko mera aisi ghazal deta hai
apna sar us ki ibaadat mein jhukana kafi
rahaten donon jahan mein ye amal deta hai
hausla jis ka jawan hota hai Tipu ki tarah
zulm ke sanp ka sar baDh ke kuchal deta hai
likha qismat ka bhi wo man ki dua se 'sani'
sach hai ye baat ki allah badal deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.