nek ho aur parsa ho tum
nek ho aur pārsā ho tum
ye bhī kah do ki be-riyā ho tum
dil tumhārā bhī hai gudāḳhta kyā
yuuñ to dā.ūdī sī sadā ho tum
kyā alag shai ho tum ḳhudā.ī se
apne hone se bhī sivā ho tum
kyā hai bejā bajā hai kyā baabā
sochte bhī kabhī ho kyā ho tum
be-ḳhudā 'shāh' bhī kahāñ kab hai
hai ye shohrā ki bā-ḳhudā ho tum
nek ho aur parsa ho tum
ye bhi kah do ki be-riya ho tum
dil tumhaara bhi hai gudaKHta kya
yun to daudi si sada ho tum
kya alag shai ho tum KHudai se
apne hone se bhi siwa ho tum
kya hai beja baja hai kya baba
sochte bhi kabhi ho kya ho tum
be-KHuda 'shah' bhi kahan kab hai
hai ye shohra ki ba-KHuda ho tum
- Book : Shab Aaftaab (Pg. 55)
- Author : Shah Husain Nahri
- Publication : Nawa-e-deccan Publications, Aurangabad (M.S.) (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.