nek-o-bad ishq mein jo hai meri taqdir mein hai
nek-o-bad ishq meñ jo hai mirī taqdīr meñ hai
aap vo kījiye jo aap kī tadbīr meñ hai
vasl kahte haiñ ise rabt ise kahte haiñ
dekh lo tiir jigar meñ hai jigar tiir meñ hai
shor-e-mahshar kī to ik dhuum machā rakkhī hai
shor ye hai jo mire bāloñ kī zanjīr meñ hai
khul gayā aaj mujhe vāda-farāmoshī se
ki tirā vasl kisī aur kī taqdīr meñ hai
vo mirā haal jo pūchheñ to ye kahnā qāsid
abhī jiitā hai magar marne kī tadbīr meñ hai
koī kuchh jurm kare naam vo merā leñge
ik zamāne kī burā.ī mirī taqdīr meñ hai
vasf kuchh us kā bayāñ ho nahīñ saktā 'mahmūd'
lutf jo daaġh kī taqrīr meñ tahrīr meñ hai
nek-o-bad ishq mein jo hai meri taqdir mein hai
aap wo kijiye jo aap ki tadbir mein hai
wasl kahte hain ise rabt ise kahte hain
dekh lo tir jigar mein hai jigar tir mein hai
shor-e-mahshar ki to ek dhum macha rakkhi hai
shor ye hai jo mere baalon ki zanjir mein hai
khul gaya aaj mujhe wada-faramoshi se
ki tera wasl kisi aur ki taqdir mein hai
wo mera haal jo puchhen to ye kahna qasid
abhi jita hai magar marne ki tadbir mein hai
koi kuchh jurm kare nam wo mera lenge
ek zamane ki burai meri taqdir mein hai
wasf kuchh us ka bayan ho nahin sakta 'mahmud'
lutf jo dagh ki taqrir mein tahrir mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.