nek-o-bad ki jise KHabar hi nahin
nek-o-bad kī jise ḳhabar hī nahīñ
shar hai kam-baḳht vo bashar hī nahīñ
vo haiñ kis haal meñ ḳhabar hī nahīñ
sar bhī nīchā hai ik nazar hī nahīñ
haath ḳhālī hai māl-o-zar hī nahīñ
kyā uḌeñ jabki bāl-o-par hī nahīñ
mai kī bābat ḳhayāl kar vaa.iz
is meñ naf.e bhī haiñ zarar hī nahīñ
sharm se tere rū-e-raushan ke
shams bhī zard hai qamar hī nahīñ
jis ke baa.is hai zindagī be-lutf
lutf ye hai use ḳhabar hī nahīñ
raah har dil ko hotī hai dil se
mere dil kī unheñ ḳhabar hī nahīñ
yaar to qatl-e-ām kar Daale
teġh bāñdhe kahāñ kamar hī nahīñ
zabt kī nisbat aap kā hai ḳhayāl
maiñ huuñ āshiq mire jigar hī nahīñ
mere siine ko chiir kar dekho
dil bhī rotā hai chashm-e-tar hī nahīñ
āsmāñ laakh baar dushman ho
kyā ho barbād mere ghar hī nahīñ
kaun kahtā hai mujh ko saudā.ī
ek muddat se mere sar hī nahīñ
ham qayāmat se bhī hue be-fikr
shab-e-hijrāñ kī jab sahar hī nahīñ
paañv phailā.e mast hote haiñ
fuqarā kyūñki māl-o-zar hī nahīñ
vo to mujh ko jalā.e jā.eñge
ba.ad murdan bhī umr bhar hī nahīñ
ba.ad murdan hai hashr kā khaTkā
merī jaañ fikr se mafar hī nahīñ
murġh be-vaj.h chīḳhe jaatā hai
ye na bole to jānvar hī nahīñ
zulm par ab hai āsmāñ nādim
sar bhī nīchā hai ik nazar hī nahīñ
tauba tauba hazār-hā sharteñ
kyā batā.ūñ agar magar hī nahīñ
phirte ho saikḌoñ nadīdoñ meñ
tum ko ḳhauf-e-nazar guzar hī nahīñ
aadmī aadmī hai izzat se
aab jis meñ na ho guhar hī nahīñ
kam hai ye zād-e-rāh ai 'parvīñ'
tum ko andāza-e-safar hī nahīñ
nek-o-bad ki jise KHabar hi nahin
shar hai kam-baKHt wo bashar hi nahin
wo hain kis haal mein KHabar hi nahin
sar bhi nicha hai ek nazar hi nahin
hath KHali hai mal-o-zar hi nahin
kya uDen jabki baal-o-par hi nahin
mai ki babat KHayal kar waiz
is mein nafe bhi hain zarar hi nahin
sharm se tere ru-e-raushan ke
shams bhi zard hai qamar hi nahin
jis ke bais hai zindagi be-lutf
lutf ye hai use KHabar hi nahin
rah har dil ko hoti hai dil se
mere dil ki unhen KHabar hi nahin
yar to qatl-e-am kar Dale
tegh bandhe kahan kamar hi nahin
zabt ki nisbat aap ka hai KHayal
main hun aashiq mere jigar hi nahin
mere sine ko chir kar dekho
dil bhi rota hai chashm-e-tar hi nahin
aasman lakh bar dushman ho
kya ho barbaad mere ghar hi nahin
kaun kahta hai mujh ko saudai
ek muddat se mere sar hi nahin
hum qayamat se bhi hue be-fikr
shab-e-hijran ki jab sahar hi nahin
panw phailae mast hote hain
fuqara kyunki mal-o-zar hi nahin
wo to mujh ko jalae jaenge
baad murdan bhi umr bhar hi nahin
baad murdan hai hashr ka khaTka
meri jaan fikr se mafar hi nahin
murgh be-wajh chiKHe jata hai
ye na bole to jaanwar hi nahin
zulm par ab hai aasman nadim
sar bhi nicha hai ek nazar hi nahin
tauba tauba hazar-ha sharten
kya bataun agar magar hi nahin
phirte ho saikDon nadidon mein
tum ko KHauf-e-nazar guzar hi nahin
aadmi aadmi hai izzat se
aab jis mein na ho guhar hi nahin
kam hai ye zad-e-rah ai 'parwin'
tum ko andaza-e-safar hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.