nekiyan boin aur badi pai
nekiyāñ boiiñ aur badī paa.ī
ham ne ye kaun sī sadī paa.ī
vo salīboñ pe saj gayā āḳhir
jis ne bhī ḳhū-e-sarmadī paa.ī
sāya-e-gul meñ rah ke bhī ham ne
zindagī ḳhaar se ladī paa.ī
us ne patthar hī pheñkā hai jis ne
shāḳh phal phuul se ladī paa.ī
ham ne har sāhil-e-vafā pe 'nazīr'
ḳhuun ugaltī huī nadī paa.ī
nekiyan boin aur badi pai
hum ne ye kaun si sadi pai
wo salibon pe saj gaya aaKHir
jis ne bhi KHu-e-sarmadi pai
saya-e-gul mein rah ke bhi hum ne
zindagi KHar se ladi pai
us ne patthar hi phenka hai jis ne
shaKH phal phul se ladi pai
hum ne har sahil-e-wafa pe 'nazir'
KHun ugalti hui nadi pai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.