nekiyon ke zumre mein bhi ye kaam kar jao
nekiyoñ ke zumre meñ bhī ye kaam kar jaao
muskurā ke thoḌā sā mere zaḳhm bhar jaao
kitne ġham-badāmāñ ho sub.h se pareshāñ ho
shaam aane vaalī hai ab uTho sañvar jaao
zindagī jo karnī hai muskurā ke din kaaTo
varna sab se muñh moḌo zahr khā ke mar jaao
go-mago meñ zahmat hai sochnā qayāmat hai
jis taraf kahe jazba be-dhaḌak udhar jaao
sach bhī ab fasāna hai haa.e kyā zamāna hai
sab ko phuul do lekin aap be-samar jaao
vo bhī sahmā sahmā hai pyaar ke natā.ej se
behtarīn mauqa hai tum bhī ik mukar jaao
maiñ to raat kāTūñgā ghūm-phir ke saḌkoñ par
koī muntazir hogā tum to apne ghar jaao
nekiyon ke zumre mein bhi ye kaam kar jao
muskura ke thoDa sa mere zaKHm bhar jao
kitne gham-badaman ho subh se pareshan ho
sham aane wali hai ab uTho sanwar jao
zindagi jo karni hai muskura ke din kaTo
warna sab se munh moDo zahr kha ke mar jao
go-mago mein zahmat hai sochna qayamat hai
jis taraf kahe jazba be-dhaDak udhar jao
sach bhi ab fasana hai hae kya zamana hai
sab ko phul do lekin aap be-samar jao
wo bhi sahma sahma hai pyar ke nataej se
behtarin mauqa hai tum bhi ek mukar jao
main to raat kaTunga ghum-phir ke saDkon par
koi muntazir hoga tum to apne ghar jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.