nemul-badal nahin tere zinda wajud ka
nemul-badal nahīñ tire zinda vajūd kā
dīvār par lagī tirī tasvīr kyā kareñ
tere baġhair chain na aa.e kisī tarah
tere hī dar ke ho rahe dil-gīr kyā kareñ
har ek rabt aise talab kā huā asiir
ruknā na chāho tum tumheñ zanjīr kyā kareñ
qadmoñ ko bāñdh detī hai yuuñ rahguzar tirī
kaTtā nahīñ safar tire rāhgīr kyā kareñ
muddat se us ke shahr meñ 'āmir' nahīñ ga.e
is ke sivā bhalā koī tadbīr kyā kareñ
nemul-badal nahin tere zinda wajud ka
diwar par lagi teri taswir kya karen
tere baghair chain na aae kisi tarah
tere hi dar ke ho rahe dil-gir kya karen
har ek rabt aise talab ka hua asir
rukna na chaho tum tumhein zanjir kya karen
qadmon ko bandh deti hai yun rahguzar teri
kaTta nahin safar tere rahgir kya karen
muddat se us ke shahr mein 'amir' nahin gae
is ke siwa bhala koi tadbir kya karen
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 379)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.