neze pe sar chaDhega sayyad ko sab pata tha
neze pe sar chaḌhegā sayyad ko sab patā thā
lekin vo sū-e-maqtal be-ḳhauf chal rahā thā
beTe bhatīje bhaa.ī vaare nahīñ jhukā vo
bātil ko haq na maanā itnā sā mudda.ā thā
mātam-kunāñ thā us pal insāniyat pe sahrā
bāñhoñ meñ jab vo lāsh-e-asġhar liye khaḌā thā
yāqūb kī tarah se royā na thā idhar vo
nabiyoñ se baḌh ke mere murshid kā hausla thā
tārīḳh paḌh ke dekheñ miltā nahīñ koī bhī
karb-o-balā meñ jaise ġhāzī mirā laḌā thā
islām zinda hai to zinda husain bhī haiñ
karbal faqat yazīdī naḳhvat kā ḳhātma thā
martā nahīñ 'zafar' jo haq sach pe sar kaTā de
sochoñ ko jis ne badlā aisā vo sāneha thā
neze pe sar chaDhega sayyad ko sab pata tha
lekin wo su-e-maqtal be-KHauf chal raha tha
beTe bhatije bhai ware nahin jhuka wo
baatil ko haq na mana itna sa muddaa tha
matam-kunan tha us pal insaniyat pe sahra
banhon mein jab wo lash-e-asghar liye khaDa tha
yaqub ki tarah se roya na tha idhar wo
nabiyon se baDh ke mere murshid ka hausla tha
tariKH paDh ke dekhen milta nahin koi bhi
karb-o-bala mein jaise ghazi mera laDa tha
islam zinda hai to zinda husain bhi hain
karbal faqat yazidi naKHwat ka KHatma tha
marta nahin 'zafar' jo haq sach pe sar kaTa de
sochon ko jis ne badla aisa wo saneha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.