nibah karte hue sham-e-be-qarar ke sath
nibāh karte hue shām-e-be-qarār ke saath
hamārī umr kaTī rañj-e-be-shumār ke saath
ye intizār bhī ik kaam thā jo karnā thā
magar kuchh aur bhī karnā thā intizār ke saath
bayān-e-husn ko husn-e-bayāñ zarūrī hai
kalām-e-fan bhī hai lāzim jamāl-e-yār ke saath
so manziloñ ke ta.ayyun se bhī gurezāñ huuñ
maiñ dasht meñ huuñ kisī sar-phire ġhubār ke saath
shumār-e-aib nahīñ hai ye be-niyāzī-e-husn
ye nashsha hai ki jo hotā hai eqtidār ke saath
nibah karte hue sham-e-be-qarar ke sath
hamari umr kaTi ranj-e-be-shumar ke sath
ye intizar bhi ek kaam tha jo karna tha
magar kuchh aur bhi karna tha intizar ke sath
bayan-e-husn ko husn-e-bayan zaruri hai
kalam-e-fan bhi hai lazim jamal-e-yar ke sath
so manzilon ke tayyun se bhi gurezan hun
main dasht mein hun kisi sar-phire ghubar ke sath
shumar-e-aib nahin hai ye be-niyazi-e-husn
ye nashsha hai ki jo hota hai eqtidar ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.