Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nibhana ho wada to aisa karen

Navin Joshi

nibhana ho wada to aisa karen

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    nibhānā ho va.ada to aisā kareñ

    ki va.ade se pahle irāda kareñ

    har ik baar apnī hadeñ aañk kar

    har ik baat had se ziyāda kareñ

    talātum dhun jin sañgīt hai

    vo tūfāñ ke giit gaayā kareñ

    adhūrā rahegā ye rishta agar

    ham ik dūsre ko na puurā kareñ

    ye paanī hai farz har haal meñ

    so aañsū bhī nikle to sabza kareñ

    marāsim ke dhāgoñ tāsīr hai

    ki suljhā.ūñ jitne ye uljhā kareñ

    raheñ dil meñ kuchh barahna hasrateñ

    na āñkhoñ khiḌkī se jhāñkā kareñ

    nibhana ho wada to aisa karen

    ki wade se pahle irada karen

    har ek bar apni haden aank kar

    har ek baat had se ziyaada karen

    talatum ki dhun jin ka sangit hai

    wo tufan ke hi git gaya karen

    adhura rahega ye rishta agar

    hum ek dusre ko na pura karen

    ye pani ka hai farz har haal mein

    so aansu bhi nikle to sabza karen

    marasim ke dhagon ki tasir hai

    ki suljhaun jitne ye uljha karen

    rahen dil mein kuchh barahna hasraten

    na aankhon ki khiDki se jhanka karen

    Source :
    • Book : Word File Mail By Salim Saleem
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now