nibhegi kis tarah dil sochta hai
nibhegī kis tarah dil sochtā hai
ajab laḌkī hai jab dekho ḳhafā hai
ba-zāhir hai use bhī pyaar vaise
diloñ ke bhed se vāqif ḳhudā hai
ye tanhā.ī kā kaalā sard patthar
isī se umr-bhar sar phoḌnā hai
magar ik baat donoñ jānte haiñ
na kuchh us ne na kuchh ham ne kahā hai
nahīñ mumkin agar saath umr-bhar kā
ye pal-do-pal kā milnā kyā burā hai
ghane jañgal meñ jaise shaam utre
koī yuuñ 'ja.afarī' yaad aa rahā hai
nibhegi kis tarah dil sochta hai
ajab laDki hai jab dekho KHafa hai
ba-zahir hai use bhi pyar waise
dilon ke bhed se waqif KHuda hai
ye tanhai ka kala sard patthar
isi se umr-bhar sar phoDna hai
magar ek baat donon jaante hain
na kuchh us ne na kuchh hum ne kaha hai
nahin mumkin agar sath umr-bhar ka
ye pal-do-pal ka milna kya bura hai
ghane jangal mein jaise sham utre
koi yun 'jafari' yaad aa raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.