niDar bhi zat mein apni hun KHud se KHaif bhi
niDar bhī zaat meñ apnī huuñ ḳhud se ḳhā.if bhī
lahū meñ mere hirā bhī hai arz-e-tā.ef bhī
yahī nahīñ ki farishta na chhat pe utrā koī
pahuñch sake na falak tak mire vazā.if bhī
pukārtī hai mujhe tere naam se duniyā
badal ke rakh diye tū ne mire kavā.if bhī
bharam aziiz thā terā so terī jānib se
ḳharīd laayā huuñ apne liye tahā.if bhī
kiyā hai saath hamāre jo zindagī ne 'munīr'
ravā rakhe na kisī se koī tavā.if bhī
niDar bhi zat mein apni hun KHud se KHaif bhi
lahu mein mere hira bhi hai arz-e-taef bhi
yahi nahin ki farishta na chhat pe utra koi
pahunch sake na falak tak mere wazaif bhi
pukarti hai mujhe tere nam se duniya
badal ke rakh diye tu ne mere kawaif bhi
bharam aziz tha tera so teri jaanib se
KHarid laya hun apne liye tahaif bhi
kiya hai sath hamare jo zindagi ne 'munir'
rawa rakhe na kisi se koi tawaif bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.