nigah dil ke liye jal ke musawi hai
nigāh dil ke liye jaal ke musāvī hai
ye ā.īna tirī timsāl ke musāvī hai
ga.e dinoñ meñ jise badtarīn kahte the
ab achchhā haal bhī us haal ke musāvī hai
nazar jhukā.e paḌā huuñ maiñ apne paañv meñ
ye jā mire liye pātāl ke musāvī hai
qasam ḳhudā kī kisī aur par agar guzre
ye kaifiyat kisī bhūñchāl ke musāvī hai
samajh sakeñ to ye pal pal dhaḌaktā dil apnā
shumār vaqt ke ghaḌiyāl ke musāvī hai
mire savāl se le kar tire javāb talak
zarā sā vaqfa ka.ī saal ke musāvī hai
tumhārī yaad kī dastak hamārī dhaḌkan par
tumhārī kī huī misscall ke musāvī hai
nigah dil ke liye jal ke musawi hai
ye aaina teri timsal ke musawi hai
gae dinon mein jise badtarin kahte the
ab achchha haal bhi us haal ke musawi hai
nazar jhukae paDa hun main apne panw mein
ye ja mere liye patal ke musawi hai
qasam KHuda ki kisi aur par agar guzre
ye kaifiyat kisi bhunchaal ke musawi hai
samajh saken to ye pal pal dhaDakta dil apna
shumar waqt ke ghaDiyal ke musawi hai
mere sawal se le kar tere jawab talak
zara sa waqfa kai sal ke musawi hai
tumhaari yaad ki dastak hamari dhaDkan par
tumhaari ki hui misscall ke musawi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.