nigah-e-faqr hi shan-e-sikandari jaane
nigāh-e-faqr hī shān-e-sikandarī jaane
vahī hai shaah jo rāz-e-qalandarī jaane
havā bikhertī mujh ko hai gard kī sūrat
jahāñ meñ kaun hai jo merī be-gharī jaane
bas ek tere sivā be-ḳhabar nahīñ koī
hamārā haal to raste kī kankarī jaane
tirī adāoñ kī pahchān ḳhuub hai mujh ko
tire karam kī koī kyā sitamgarī jaane
mirī nigāh meñ kaun-o-makāñ kī bastī hai
zamāna kyā mirā tarz-e-qalandarī jaane
tū 'arsh-o-farsh pe āñkheñ Tikā.e rahtā hai
kahāñ se terī tarah koī muḳhbirī jaane
nigah-e-faqr hi shan-e-sikandari jaane
wahi hai shah jo raaz-e-qalandari jaane
hawa bikherti mujh ko hai gard ki surat
jahan mein kaun hai jo meri be-ghari jaane
bas ek tere siwa be-KHabar nahin koi
hamara haal to raste ki kankari jaane
teri adaon ki pahchan KHub hai mujh ko
tere karam ki koi kya sitamgari jaane
meri nigah mein kaun-o-makan ki basti hai
zamana kya mera tarz-e-qalandari jaane
tu 'arsh-o-farsh pe aankhen Tikae rahta hai
kahan se teri tarah koi muKHbiri jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.