Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nigah-e-husn-e-talab ehtiram kis ka tha

Abdul Majeed Dard Bhopali

nigah-e-husn-e-talab ehtiram kis ka tha

Abdul Majeed Dard Bhopali

MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali

    nigāh-e-husn-e-talab ehtirām kis thā

    kiyā jo nazroñ se ne salām kis thā

    milā jo roz-e-azal vo payām kis thā

    nidā jo kaan meñ aa.ī vo naam kis thā

    junūn-e-shauq-e-salāmat ki ye bhī hosh nahīñ

    maiñ jis maqām pe thā vo maqām kis thā

    bikhar paḌī thī har ik bahār-e-lāla-o-gul

    ḳhudā jaane laboñ par kalām kis thā

    banā gayā thā jo naqsh-o-nigār dil pe mire

    vo ek jalva-e-husn-e-ḳhirām kis thā

    bhaTak rahī thī har ik nigāh-e-tishna-labāñ

    tumhārī bazm meñ ye daur-e-jām kis thā

    qadam qadam pe bahāroñ ne kis ke pair chhue

    qafas meñ 'dard' batā ehtirām kis thā

    nigah-e-husn-e-talab ehtiram kis ka tha

    kiya jo nazron se tu ne salam kis ka tha

    mila jo roz-e-azal wo payam kis ka tha

    nida jo kan mein aai wo nam kis ka tha

    junun-e-shauq-e-salamat ki ye bhi hosh nahin

    main jis maqam pe tha wo maqam kis ka tha

    bikhar paDi thi har ek su bahaar-e-lala-o-gul

    KHuda hi jaane labon par kalam kis ka tha

    bana gaya tha jo naqsh-o-nigar dil pe mere

    wo ek jalwa-e-husn-e-KHiram kis ka tha

    bhaTak rahi thi har ek su nigah-e-tishna-laban

    tumhaari bazm mein ye daur-e-jam kis ka tha

    qadam qadam pe bahaaron ne kis ke pair chhue

    qafas mein 'dard' bata ehtiram kis ka tha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now