nigah-e-husn jab goya ho to taswir banti hai
nigah-e-husn jab goya ho to taswir banti hai
Professor Mahmood Alam
MORE BYProfessor Mahmood Alam
nigāh-e-husn jab goyā ho to tasvīr bantī hai
digar ḳhūbī to bas tasvīr kī tafsīr hotī hai
sabā ke dosh par baiTho chaman meñ jā ke bas jaao
to dekhoge ki koshish se na.ī taqdīr bantī hai
ye sheva hai zamāne kā hamesha hotā aaya hai
jo sachchī baat kartā hai use zanjīr miltī hai
sazā mujh ko milī thī jis adālat meñ vo terī thī
qazāvat ke sahīfoñ par tirī tahrīr miltī hai
ye merā ḳhvāb thā qadmoñ ko tere sajda karne kā
baḌoñ ke sāmne jhukne se hī tauqīr miltī hai
mah-o-ḳhurshīd bhī haiñ raushnī hī ke liye 'ālam'
magar mujh ko ruḳh-e-anvar se hī tanvīr miltī hai
nigah-e-husn jab goya ho to taswir banti hai
digar KHubi to bas taswir ki tafsir hoti hai
saba ke dosh par baiTho chaman mein ja ke bas jao
to dekhoge ki koshish se nai taqdir banti hai
ye shewa hai zamane ka hamesha hota aaya hai
jo sachchi baat karta hai use zanjir milti hai
saza mujh ko mili thi jis adalat mein wo teri thi
qazawat ke sahifon par teri tahrir milti hai
ye mera KHwab tha qadmon ko tere sajda karne ka
baDon ke samne jhukne se hi tauqir milti hai
mah-o-KHurshid bhi hain raushni hi ke liye 'alam'
magar mujh ko ruKH-e-anwar se hi tanwir milti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.