nigah-e-husn ne jadu jagae hain kya kya
nigāh-e-husn ne jaadū jagā.e haiñ kyā kyā
fareb ahl-e-mohabbat ne khaa.e haiñ kyā kyā
kisī ne va.ada-e-fardā kā aasrā de kar
hasīn ḳhvāb-e-tamannā dikhā.e haiñ kyā kyā
zamāna jin ko samajhtā hai dāġh-e-mahrūmī
mirī hayāt meñ vo rang laa.e haiñ kyā kyā
na ho sakī kabhī takmīl-e-ārzū phir bhī
bisāt-e-zehn pe ḳhāke banā.e haiñ kyā kyā
matā-e-ġham kise ma.alūm hai ki ham 'ahmad'
na jaane pahlū-e-dil meñ chhupā.e haiñ kyā kyā
nigah-e-husn ne jadu jagae hain kya kya
fareb ahl-e-mohabbat ne khae hain kya kya
kisi ne wada-e-farda ka aasra de kar
hasin KHwab-e-tamanna dikhae hain kya kya
zamana jin ko samajhta hai dagh-e-mahrumi
meri hayat mein wo rang lae hain kya kya
na ho saki kabhi takmil-e-arzu phir bhi
bisat-e-zehn pe KHake banae hain kya kya
mata-e-gham kise malum hai ki hum 'ahmad'
na jaane pahlu-e-dil mein chhupae hain kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.