Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nigah-e-ishq mein tabindagi nahin milti

Raz Chandpuri

nigah-e-ishq mein tabindagi nahin milti

Raz Chandpuri

MORE BYRaz Chandpuri

    nigāh-e-ishq meñ tābindagī nahīñ miltī

    charāġh-e-husn se ab raushnī nahīñ miltī

    sar-e-niyāz jhukā.egā kyā koī ḳhuddār

    nigāh-e-nāz se jab daad nahīñ miltī

    sharīk-e-dard-e-mohabbat koī nahīñ hotā

    kisī se dād-e-mohabbat kabhī nahīñ miltī

    nigāh-e-sāqī-e-rā.anā ye bhī ehsāñ hai

    ba-qadr-e-zauq mai-e-āgahī nahīñ miltī

    ye mai-kada hai yahāñ qaid-e-zarf-e-zauq bhī hai

    ye kyā kahā ki mai-e-zindagī nahīñ miltī

    ziyā-e-husn hai mahdūd bazm-e-imkāñ tak

    phir is ke ba.ad kahīñ raushnī nahīñ miltī

    bajā hai aap irshād māntā huuñ maiñ

    kalām-e-'rāz' meñ ab zindagī nahīñ miltī

    nigah-e-ishq mein tabindagi nahin milti

    charagh-e-husn se ab raushni nahin milti

    sar-e-niyaz jhukaega kya koi KHuddar

    nigah-e-naz se jab dad hi nahin milti

    sharik-e-dard-e-mohabbat koi nahin hota

    kisi se dad-e-mohabbat kabhi nahin milti

    nigah-e-saqi-e-raana ka ye bhi ehsan hai

    ba-qadr-e-zauq mai-e-agahi nahin milti

    ye mai-kada hai yahan qaid-e-zarf-e-zauq bhi hai

    ye kya kaha ki mai-e-zindagi nahin milti

    ziya-e-husn hai mahdud bazm-e-imkan tak

    phir is ke baad kahin raushni nahin milti

    baja hai aap ka irshad manta hun main

    kalam-e-'raaz' mein ab zindagi nahin milti

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now