nigah-e-jalwa-talab aur aarzu kya hai
nigāh-e-jalva-talab aur aarzū kyā hai
jamāl-e-yār nahīñ hai to kū-ba-kū kyā hai
hazār baar kahā hai ki lā-javāb ho tum
phir aa.ine ke muqābil ho justujū kyā hai
ye kis kā rang numāyāñ hai tere hāthoñ se
hinā hai yā kisī bismil kā hai lahū kyā hai
taḌap rahā hai jo betāb ho ke zaḳhmoñ se
ye rāste meñ mire dil ke hū-bahū kyā hai
kabhī to dekhte hasrat bharī nigāhoñ se
kabhī to pūchh liyā hotā aarzū kyā hai
jahāñ meñ kis kī chalī hai rahegā kaun ai 'shād'
payambaroñ ko bhī jaanā paḌā hai tū kyā hai
nigah-e-jalwa-talab aur aarzu kya hai
jamal-e-yar nahin hai to ku-ba-ku kya hai
hazar bar kaha hai ki la-jawab ho tum
phir aaine ke muqabil ho justuju kya hai
ye kis ka rang numayan hai tere hathon se
hina hai ya kisi bismil ka hai lahu kya hai
taDap raha hai jo betab ho ke zaKHmon se
ye raste mein mere dil ke hu-bahu kya hai
kabhi to dekhte hasrat bhari nigahon se
kabhi to puchh liya hota aarzu kya hai
jahan mein kis ki chali hai rahega kaun ai 'shad'
payambaron ko bhi jaana paDa hai tu kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.