nigah-e-KHishmagin mein pyar ki ziya kar ke
nigāh-e-ḳhishmagīñ meñ pyaar kī ziyā kar ke
ham āzmā.e ga.e arz-e-mudda.ā karke
na.ī umiid na.e ġham se āshnā karke
guzar ga.ī shab-e-hijrāñ ḳhudā ḳhudā karke
junūñ ke saath bhī kuchh duur ham ko chalne do
ḳhirad ko dekh liyā ham ne rahnumā karke
harīf-e-amn-o-amāñ kā yahī hai mansūba
ki fard fard ko rakh de yahāñ judā karke
mizāj ahl-e-siyāsat ke jab badalne lage
qadam tumheñ bhī uThānā hai faisla karke
ye silsila to satā.ish kā ḳhuub hai lekin
miTā na de kahīñ maġhrūr-e-irtiqā karke
ġhurūr-e-jāh-o-hasham ne tamām umr hameñ
kahīñ kā rakkhā na āvāra-e-anā karke
kisī ġharīb ko dekho na tum hiqārat se
jo ho sake to guzar jaao kuchh bhalā karke
vahī fasāna-e-fikr-e-ma.āsh hai ab bhī
ham intihā ko taraste haiñ ibtidā karke
qadam usī kā vaqār-e-hayāt chūme hai
pashemāñ hotā hai jo aadmī ḳhatā karke
hai ab bhī vaqt sañbhal jaao ai 'tarab' varna
zamāna tum ko na rakh de kahīñ fanā karke
nigah-e-KHishmagin mein pyar ki ziya kar ke
hum aazmae gae arz-e-muddaa karke
nai umid nae gham se aashna karke
guzar gai shab-e-hijran KHuda KHuda karke
junun ke sath bhi kuchh dur hum ko chalne do
KHirad ko dekh liya hum ne rahnuma karke
harif-e-amn-o-aman ka yahi hai mansuba
ki fard fard ko rakh de yahan juda karke
mizaj ahl-e-siyasat ke jab badalne lage
qadam tumhein bhi uThana hai faisla karke
ye silsila to sataish ka KHub hai lekin
miTa na de kahin maghrur-e-irtiqa karke
ghurur-e-jah-o-hasham ne tamam umr hamein
kahin ka rakkha na aawara-e-ana karke
kisi gharib ko dekho na tum hiqarat se
jo ho sake to guzar jao kuchh bhala karke
wahi fasana-e-fikr-e-maash hai ab bhi
hum intiha ko taraste hain ibtida karke
qadam usi ka waqar-e-hayat chume hai
pasheman hota hai jo aadmi KHata karke
hai ab bhi waqt sanbhal jao ai 'tarab' warna
zamana tum ko na rakh de kahin fana karke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.