nigah-e-lutf kabhi gar wo mast-e-naz kare
nigah-e-lutf kabhi gar wo mast-e-naz kare
Khushi Mohammad Naazir
MORE BYKhushi Mohammad Naazir
nigāh-e-lutf kabhī gar vo mast-e-nāz kare
niyāz-mand ko aalam se be-niyāz kare
vo sar-navisht-e-jabīñ par bajā hai naaz kare
jo āstāñ pe tire sajda-e-niyāz kare
na tere chāhne vāloñ meñ ho ye jañg-o-jadal
ishāra gar na tirī chashm-e-fitna-sāz kare
bujhā.eñ pyaas kahāñ jā ke tere mastāne
jo sāqiyā dar-e-mai-ḳhāna tū na baaz kare
jahāñ meñ shor hai aur vo nigār parde meñ
ajab ho sair jo vo ruḳh se parda baaz kare
nahīñ vo lazzat-e-āzār-e-ishq se āgāh
sitam meñ aur karam meñ jo imtiyāz kare
jo chāhe garmī-e-hañgāma bazm-e-daurāñ meñ
sadā buland kare aur zabāñ darāz kare
jo bazm-e-uns meñ chāhe ki sham-e-mahfil ho
tū dil meñ ishq se paidā zarā gudāz kare
inhīñ ke husn se hai garm ishq kā bāzār
duā ḳhudā se hai umr-e-butāñ darāz kare
fasāna-go se kaho muḳhtasar ho qissa-e-jam
hadīs-e-gesū-e-jānāñ zarā darāz kare
ye silsila ġham-e-daurāñ kā hai abad paivand
sukūn dil kā jo chāhe vo tark-e-āz kare
ḳhudā kā naam bhī lo bāzuoñ se kaam bhī lo
to fikr-e-kār ḳhudāvand-e-kārsāz kare
havā-o-hirs se 'nāzir' rahe jo paak nazar
to hamsarī na haqīqat kī kyuuñ majāz kare
nigah-e-lutf kabhi gar wo mast-e-naz kare
niyaz-mand ko aalam se be-niyaz kare
wo sar-nawisht-e-jabin par baja hai naz kare
jo aastan pe tere sajda-e-niyaz kare
na tere chahne walon mein ho ye jang-o-jadal
ishaara gar na teri chashm-e-fitna-saz kare
bujhaen pyas kahan ja ke tere mastane
jo saqiya dar-e-mai-KHana tu na baz kare
jahan mein shor hai aur wo nigar parde mein
ajab ho sair jo wo ruKH se parda baz kare
nahin wo lazzat-e-azar-e-ishq se aagah
sitam mein aur karam mein jo imtiyaz kare
jo chahe garmi-e-hangama bazm-e-dauran mein
sada buland kare aur zaban daraaz kare
jo bazm-e-uns mein chahe ki sham-e-mahfil ho
tu dil mein ishq se paida zara gudaz kare
inhin ke husn se hai garm ishq ka bazar
dua KHuda se hai umr-e-butan daraaz kare
fasana-go se kaho muKHtasar ho qissa-e-jam
hadis-e-gesu-e-jaanan zara daraaz kare
ye silsila gham-e-dauran ka hai abad paiwand
sukun dil ka jo chahe wo tark-e-az kare
KHuda ka nam bhi lo bazuon se kaam bhi lo
to fikr-e-kar KHudawand-e-karsaz kare
hawa-o-hirs se 'nazir' rahe jo pak nazar
to hamsari na haqiqat ki kyun majaz kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.