Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nigah-e-mast-e-saqi ka salam aaya to kya hoga

Darshan Singh

nigah-e-mast-e-saqi ka salam aaya to kya hoga

Darshan Singh

MORE BYDarshan Singh

    nigāh-e-mast-e-sāqī salām aayā to kyā hogā

    agar phir tark-e-tauba payām aayā to kyā hogā

    haram vaale to pūchheñge batā kis banda hai

    ḳhudā se pahle lab par un naam aayā to kyā hogā

    mujhe manzūr un se maiñ na bolūñgā magar nāseh

    agar un nigāhoñ salām aayā to kyā hogā

    chalā hai aadmī tasḳhīr-e-mehr-o-māh ḳhātir

    magar sayyād ḳhud zer-e-dām aayā to kyā hogā

    mujhe tark-e-talab manzūr lekin ye to batlā do

    koī ḳhud liye hāthoñ meñ jaam aayā to kyā hogā

    mohabbat ke liye tark-e-ta.alluq zarūrī ho

    mohabbat meñ agar aisā maqām aayā to kyā hogā

    jahāñ kuchh ḳhaas logoñ par nigāh-e-lutf hai 'darshan'

    agar us bazm meñ daur-e-avām aayā to kyā hogā

    nigah-e-mast-e-saqi ka salam aaya to kya hoga

    agar phir tark-e-tauba ka payam aaya to kya hoga

    haram wale to puchhenge bata tu kis ka banda hai

    KHuda se pahle lab par un ka nam aaya to kya hoga

    mujhe manzur un se main na bolunga magar naseh

    agar un ki nigahon ka salam aaya to kya hoga

    chala hai aadmi tasKHir-e-mehr-o-mah ki KHatir

    magar sayyaad hi KHud zer-e-dam aaya to kya hoga

    mujhe tark-e-talab manzur lekin ye to batla do

    koi KHud hi liye hathon mein jam aaya to kya hoga

    mohabbat ke liye tark-e-talluq hi zaruri ho

    mohabbat mein agar aisa maqam aaya to kya hoga

    jahan kuchh KHas logon par nigah-e-lutf hai 'darshan'

    agar us bazm mein daur-e-awam aaya to kya hoga

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now