nigah-e-mast mein kya rang-e-walihana tha
nigāh-e-mast meñ kyā rañg-e-vālihāna thā
surūr-o-kaif meñ Duubā huā zamāna thā
kisī kī uThtī javānī kā jab zamāna thā
mirī nigāh kā har fe.al shā.irāna thā
sitam-nasīb kī allāh re soḳhta baḳhtī
hai bijliyoñ kā nasheman jo āshiyāna thā
azal se qaid-e-anāsir atā huī mujh ko
mire nasīb meñ zindāñ kā āb-o-dāna thā
vufūr-e-dard se jab hichkiyāñ sī aane lagīñ
har ek zaḳhm ke lab par mirā fasāna thā
shurū-e-ishq meñ kyā merī shā.irī thī na pūchh
falak pe murġh-e-taḳhayyul kā āshiyāna thā
vatan meñ hazrat-e-'altāf' zindagī apnī
bahār ḳhuld-e-mohabbat kā ik fasāna thā
nigah-e-mast mein kya rang-e-walihana tha
surur-o-kaif mein Duba hua zamana tha
kisi ki uThti jawani ka jab zamana tha
meri nigah ka har feal shairana tha
sitam-nasib ki allah re soKHta baKHti
hai bijliyon ka nasheman jo aashiyana tha
azal se qaid-e-anasir ata hui mujh ko
mere nasib mein zindan ka aab-o-dana tha
wufur-e-dard se jab hichkiyan si aane lagin
har ek zaKHm ke lab par mera fasana tha
shuru-e-ishq mein kya meri shairi thi na puchh
falak pe murgh-e-taKHayyul ka aashiyana tha
watan mein hazrat-e-'altaf' zindagi apni
bahaar KHuld-e-mohabbat ka ek fasana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.