nigah-e-naz se raaz-o-niyaz rahne de
nigāh-e-nāz se rāz-o-niyāz rahne de
tabassum-e-nigah-e-dil-navāz rahne de
ġham-e-firāq se dil ko gudāz rahne de
jahān-e-ishq meñ kuchh soz-o-sāz rahne de
fareb-ḳhurda-e-husn-e-majāz rahne de
isī tarah se haqīqat ko raaz rahne de
uThā na chehra-e-hastī se tū naqāb apnī
nigāh-o-dil ko yūñhī mashq-e-nāz rahne de
agar ye asl haqīqat ke donoñ pahlū haiñ
to husn-o-ishq kā phir imtiyāz rahne de
nigāh-e-lutf-o-karam mujh pe gar nahīñ na sahī
sitam se apne mujhe sarfarāz rahne de
nigah-e-naz se raaz-o-niyaz rahne de
tabassum-e-nigah-e-dil-nawaz rahne de
gham-e-firaq se dil ko gudaz rahne de
jahan-e-ishq mein kuchh soz-o-saz rahne de
fareb-KHurda-e-husn-e-majaz rahne de
isi tarah se haqiqat ko raaz rahne de
uTha na chehra-e-hasti se tu naqab apni
nigah-o-dil ko yunhi mashq-e-naz rahne de
agar ye asl haqiqat ke donon pahlu hain
to husn-o-ishq ka phir imtiyaz rahne de
nigah-e-lutf-o-karam mujh pe gar nahin na sahi
sitam se apne mujhe sarfaraaz rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.