nigah-e-shauq ko jab tera naqsh-e-pa na mila
nigāh-e-shauq ko jab terā naqsh-e-pā na milā
mujhe bhī husn-e-haqīqat kā aa.ina na milā
jise bhī dekho vahī ajnabī sā lagtā hai
tumhāre shahr meñ koī bhī āshnā na milā
hudūd-e-dair-o-kalīsā meñ ḳhānqāhoñ meñ
bahut talāsh kiyā ham ko pārsā na milā
taḌapte rah ga.e din meñ bhī raushnī ke liye
charāġh bechne vāloñ ko mash.lā na milā
hamāre dars pe ġhairoñ ne pā liyā sāhil
hamāre apne safīne ko nāḳhudā na milā
sukūñ milegā unheñ kis ke āstāne par
vo ahl-e-dard jinheñ terā aasrā na milā
matā-e-dil vo mirī lūTne chalā thā magar
ye aur baat ki rahzan ko hausla na milā
mirī vafāoñ pe ilzām to bahut aa.e
mirī vafāoñ kā mujh ko magar sila na milā
vafā ke tazkire ham ne bahut sune 'ḳhālid'
magar jahāñ meñ koī ham ko bā-vafā na milā
nigah-e-shauq ko jab tera naqsh-e-pa na mila
mujhe bhi husn-e-haqiqat ka aaina na mila
jise bhi dekho wahi ajnabi sa lagta hai
tumhaare shahr mein koi bhi aashna na mila
hudud-e-dair-o-kalisa mein KHanqahon mein
bahut talash kiya hum ko parsa na mila
taDapte rah gae din mein bhi raushni ke liye
charagh bechne walon ko mashla na mila
hamare dars pe ghairon ne pa liya sahil
hamare apne safine ko naKHuda na mila
sukun milega unhen kis ke aastane par
wo ahl-e-dard jinhen tera aasra na mila
mata-e-dil wo meri luTne chala tha magar
ye aur baat ki rahzan ko hausla na mila
meri wafaon pe ilzam to bahut aae
meri wafaon ka mujh ko magar sila na mila
wafa ke tazkire hum ne bahut sune 'KHalid'
magar jahan mein koi hum ko ba-wafa na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.