nigah-e-shauq tera haz uThana chahungi
nigāh-e-shauq tirā haz uThānā chāhūñgī
ḳhayāl-e-ḳhām tujhe āzmānā chāhūñgī
mirī bhī miTTī vahī hai ki jo chanāb kī hai
so jald-bāz huuñ aur paar jaanā chāhūñgī
tumhāre ghar ko sajātī agar sambhal paatī
bikhar ga.ī huuñ to ab ḳhaak uḌānā chāhūñgī
ghane daraḳht tirī mehrbān chhāñv meñ
udaas shaam kā ik giit gaanā chāhūñgī
agarche tark-e-ta.alluq meñ bhūlnā behtar
magar maiñ phir bhī tumheñ yaad aanā chāhūñgī
nigah-e-shauq tera haz uThana chahungi
KHayal-e-KHam tujhe aazmana chahungi
meri bhi miTTi wahi hai ki jo chanab ki hai
so jald-baz hun aur par jaana chahungi
tumhaare ghar ko sajati agar sambhal pati
bikhar gai hun to ab KHak uDana chahungi
ghane daraKHt teri mehrban chhanw mein
udas sham ka ek git gana chahungi
agarche tark-e-talluq mein bhulna behtar
magar main phir bhi tumhein yaad aana chahungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.