nigah-e-shauq tujhe kaamyab kis ne kiya
nigāh-e-shauq tujhe kāmyāb kis ne kiyā
dil-e-tabāh ko ḳhāna-ḳharāb kis ne kiyā
kitāb ġham kī ka.ī log likh rahe the magar
hamāre naam use intisāb kis ne kiyā
ḳhamosh dard ko iz.hār kī zabāñ de kar
ḳhud apne aap ko yuuñ be-naqāb kis ne kiyā
umiid thī to muhāfiz shikasta kashtī kī
ye kyā batā.eñ ise zer-e-āb kis ne kiyā
ijāra-dārī-e-qalb-o-nazar kā jhagḌā thā
dil-o-nazar meñ ye paidā hijāb kis ne kiyā
sahārā aap kī jānib se kuchh na kuchh to milā
maiñ ik duā thā mujhe mustajāb kis ne kiyā
ye bahs ḳhatm hī ho jaa.e ab to achchhā hai
javāb kis ko milā lā-javāb kis ne kiyā
vo shahr jis se shikāyat hai ab nayā to nahīñ
ye kis ko zid thī use intiḳhāb kis ne kiyā
nigah-e-shauq tujhe kaamyab kis ne kiya
dil-e-tabah ko KHana-KHarab kis ne kiya
kitab gham ki kai log likh rahe the magar
hamare nam use intisab kis ne kiya
KHamosh dard ko izhaar ki zaban de kar
KHud apne aap ko yun be-naqab kis ne kiya
umid thi to muhafiz shikasta kashti ki
ye kya bataen ise zer-e-ab kis ne kiya
ijara-dari-e-qalb-o-nazar ka jhagDa tha
dil-o-nazar mein ye paida hijab kis ne kiya
sahaara aap ki jaanib se kuchh na kuchh to mila
main ek dua tha mujhe mustajab kis ne kiya
ye bahs KHatm hi ho jae ab to achchha hai
jawab kis ko mila la-jawab kis ne kiya
wo shahr jis se shikayat hai ab naya to nahin
ye kis ko zid thi use intiKHab kis ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.