nigah-e-yas se jo ashk ke gauhar nikalte hain
nigah-e-yas se jo ashk ke gauhar nikalte hain
Syed Aneesuddin Ahmad Rizvi Amrohvi
MORE BYSyed Aneesuddin Ahmad Rizvi Amrohvi
nigāh-e-yās se jo ashk ke gauhar nikalte haiñ
vo ḳhūn-e-ārzū se surḳh-rū ho kar nikalte haiñ
harīm-e-nāz se vo is tarah bāhar nikalte haiñ
ba-har parda ba-har jalva ba-har manzar nikalte haiñ
sikhā.e the jinhoñ ne ishq ko ādāb-e-jāñ-bāzī
vahī kāfir ishāre zindagī-parvar nikalte haiñ
rasā.ī gosha-e-dāmāñ tak un ke kis tarah hogī
tasavvur kī hadoñ meñ bhī jo sharmā kar nikalte haiñ
mujhe yārān-e-sāhil dāman-e-girdāb meñ DhūñDheñ
ġharīq-e-varta-e-ġham kab kināre par nikalte haiñ
jo āgāh-e-rumūz-e-zindagī haiñ bazm-e-hastī meñ
vo aksar aish meñ bhī dard ke ḳhūgar nikalte haiñ
charāġh-e-rahbarī hotā hai har ik naqsh-e-pā jin kā
vo sālik be-niyāz-e-jāda-o-rahbar nikalte haiñ
vahī har ek jalva meñ tajallī-rez rahte haiñ
vahī har ek manzar meñ pas-e-manzar nikalte haiñ
kisī kā naqsh-e-pā jab dāvat-e-taslīm detā hai
taḌap kar sajda-hā-e-ārzū bāhar nikalte haiñ
'anīs' ehsās-e-dard-o-fart-e-māyūsī ko kyā kahiye
ki ab aañsū bhī merī aañkh se kamtar nikalte haiñ
nigah-e-yas se jo ashk ke gauhar nikalte hain
wo KHun-e-arzu se surKH-ru ho kar nikalte hain
harim-e-naz se wo is tarah bahar nikalte hain
ba-har parda ba-har jalwa ba-har manzar nikalte hain
sikhae the jinhon ne ishq ko aadab-e-jaan-bazi
wahi kafir ishaare zindagi-parwar nikalte hain
rasai gosha-e-daman tak un ke kis tarah hogi
tasawwur ki hadon mein bhi jo sharma kar nikalte hain
mujhe yaran-e-sahil daman-e-girdab mein DhunDhen
ghariq-e-warta-e-gham kab kinare par nikalte hain
jo aagah-e-rumuz-e-zindagi hain bazm-e-hasti mein
wo aksar aish mein bhi dard ke KHugar nikalte hain
charagh-e-rahbari hota hai har ek naqsh-e-pa jin ka
wo salik be-niyaz-e-jada-o-rahbar nikalte hain
wahi har ek jalwa mein tajalli-rez rahte hain
wahi har ek manzar mein pas-e-manzar nikalte hain
kisi ka naqsh-e-pa jab dawat-e-taslim deta hai
taDap kar sajda-ha-e-arzu bahar nikalte hain
'anis' ehsas-e-dard-o-fart-e-mayusi ko kya kahiye
ki ab aansu bhi meri aankh se kamtar nikalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.