nigah-e-zard mein rang-e-KHumar kya kahna
nigāh-e-zard meñ rang-e-ḳhumār kyā kahnā
ḳhizāñ ke daur meñ fasl-e-bahār kyā kahnā
samajh sakā na koī juz mire sir-e-mahfil
faqīr ishāre ko ai chashm-e-yār kyā kahnā
milā hai lutf-e-ġham-e-intizār jo ham ko
tire karam kā ai ġhaflat-shi.ār kyā kahnā
har ek zarre pe terā gumān hotā hai
nazar meñ raqsāñ hai tasvīr-e-yār kyā kahnā
tire nishāne kī tārīf kyā karūñ zālim
sināñ hue haiñ jigar hī ke paas kyā kahnā
mujhe miTā ke jahān-e-sitam se ai zālim
huī hai chashm tirī ashk-bār kyā kahnā
kisī kī chaah meñ ḳhud ko miTā liyā ai 'prem'
kitāb-e-ishq kā ye iḳhtisār kyā kahnā
nigah-e-zard mein rang-e-KHumar kya kahna
KHizan ke daur mein fasl-e-bahaar kya kahna
samajh saka na koi juz mere sir-e-mahfil
faqir ishaare ko ai chashm-e-yar kya kahna
mila hai lutf-e-gham-e-intizar jo hum ko
tere karam ka ai ghaflat-shiar kya kahna
har ek zarre pe tera guman hota hai
nazar mein raqsan hai taswir-e-yar kya kahna
tere nishane ki tarif kya karun zalim
sinan hue hain jigar hi ke pas kya kahna
mujhe miTa ke jahan-e-sitam se ai zalim
hui hai chashm teri ashk-bar kya kahna
kisi ki chah mein KHud ko miTa liya ai 'prem'
kitab-e-ishq ka ye iKHtisar kya kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.