nigah KHud pe Tiki thi to aur kya dikhta
nigāh ḳhud pe Tikī thī to aur kyā dikhtā
jo ḳhud-numā thā use kis liye ḳhudā dikhtā
dikhī na kā'be meñ vā'iz tumheñ jhalak us kī
hameñ to but meñ bhī hai jalva-e-ḳhudā dikhtā
paḌā hai 'aql tumhārī pe munkiro pardā
tumheñ har ek karishma hai hādisa dikhtā
hazār baar hai chashma badal ke dekh liyā
hameñ to zar bhī hai yaaro turāb sā dikhtā
koī hai DhūñDh rahā koh-o-dasht meñ us ko
kisī ko dil hī meñ jalva hai tuur kā dikhtā
talab ḳhudā se 'sadā' thī talab ḳhudā kī na thī
talab ḳhudā kī jo hotī to jā-ba-jā dikhtā
nigah KHud pe Tiki thi to aur kya dikhta
jo KHud-numa tha use kis liye KHuda dikhta
dikhi na ka'be mein wa'iz tumhein jhalak us ki
hamein to but mein bhi hai jalwa-e-KHuda dikhta
paDa hai 'aql tumhaari pe munkiro parda
tumhein har ek karishma hai hadisa dikhta
hazar bar hai chashma badal ke dekh liya
hamein to zar bhi hai yaro turab sa dikhta
koi hai DhunDh raha koh-o-dasht mein us ko
kisi ko dil hi mein jalwa hai tur ka dikhta
talab KHuda se 'sada' thi talab KHuda ki na thi
talab KHuda ki jo hoti to ja-ba-ja dikhta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.