nigah nichi hui hai meri
nigāh nīchī huī hai merī
ye TūTne kī ghaḌī hai merī
palaT palaT kar jo dekhtā huuñ
koī sadā an-sunī hai merī
ye kaam donoñ taraf huā hai
use bhī aadat paḌī hai merī
tamām chehroñ ko ek kar ke
ajiib sūrat banī hai merī
vahīñ pe le jā.egī ye miTTī
jahāñ savārī khaḌī hai merī
nigah nichi hui hai meri
ye TuTne ki ghaDi hai meri
palaT palaT kar jo dekhta hun
koi sada an-suni hai meri
ye kaam donon taraf hua hai
use bhi aadat paDi hai meri
tamam chehron ko ek kar ke
ajib surat bani hai meri
wahin pe le jaegi ye miTTi
jahan sawari khaDi hai meri
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 94)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.