nigah-o-dida-o-dil ki pareshani nahin jati
nigāh-o-dīda-o-dil kī pareshānī nahīñ jaatī
palaT kar apnī marzī se ye tuġhyānī nahīñ jaatī
agarche ek muddat ho ga.ī tark-e-ta.alluq ko
pashemān-e-mohabbat kī pashemānī nahīñ jaatī
maqām aise bhī aate haiñ bashar kī zindagānī meñ
jahāñ jahd-o-amal kī ek bhī maanī nahīñ jaatī
zarā sī chuuk ho jaa.e to bulbul jaan se jaa.e
ḳhatā ahl-e-chaman se ho to gardānī nahīñ jaatī
kahāñ par lā ke chhoḌā hai mujhe ai gardish-e-daurāñ
ki ḳhud apnī hī sūrat aap pahchānī nahīñ jaatī
nahīñ jaatī mire dil ke nihāñ-ḳhānoñ se vīrānī
mire saudā-e-vahshat kī bayābānī nahīñ jaatī
na jaane aur kyā kyā gul khilā.e aarzū merī
mire zauq-e-nazar kī fitna-sāmānī nahīñ jaatī
ye kis sannā.a ke hāthoñ ne Dhālā hai tirā paikar
ki chashm-e-shauq-e-nazzāra kī hairānī nahīñ jaatī
burā.ī 'shaiḳh' piine meñ nahīñ par ik qabāhat hai
purānī ho ke ye aadat ba-āsānī nahīñ jaatī
nigah-o-dida-o-dil ki pareshani nahin jati
palaT kar apni marzi se ye tughyani nahin jati
agarche ek muddat ho gai tark-e-talluq ko
pasheman-e-mohabbat ki pashemani nahin jati
maqam aise bhi aate hain bashar ki zindagani mein
jahan jahd-o-amal ki ek bhi mani nahin jati
zara si chuk ho jae to bulbul jaan se jae
KHata ahl-e-chaman se ho to gardani nahin jati
kahan par la ke chhoDa hai mujhe ai gardish-e-dauran
ki KHud apni hi surat aap pahchani nahin jati
nahin jati mere dil ke nihan-KHanon se virani
mere sauda-e-wahshat ki bayabani nahin jati
na jaane aur kya kya gul khilae aarzu meri
mere zauq-e-nazar ki fitna-samani nahin jati
ye kis sannaa ke hathon ne Dhaala hai tera paikar
ki chashm-e-shauq-e-nazzara ki hairani nahin jati
burai 'shaiKH' pine mein nahin par ek qabahat hai
purani ho ke ye aadat ba-asani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.